Tag: Shayaris
10 Shayaris That will Definitely wake Hidden Galib in You
10 Shayaris That will Definitely wake Hidden Galib in You
Galeeb is Awaken or Sleeping Yet :p ...
Evergreen Romantic Shayaris
Edunia Covers the great collection of new Romantic Hindi Quotes which could be sent to your loved ones and impress them..
"aankhen jo uThae to mohabbat ka guman ho
nazron ko jhukae to shikayat si lage hai...
"aao husn-e-yar ki baaten karen
zulf ki ruKHsar ki baaten karen...
"aap aae hain so ab ghar men ujala hai bahut
kahiye jalti rahe ya shama bujha di jae...
"aap idhar aae udhar din aur iman gae
id ka chand nazar aaya to ramzan gae...
"aap ke qurb se pahle mujhe malum na tha
zindagi itni dil-awez bhi ho sakti hai...
"aap ki maKHmur aankhon ki qasam
meri mai-KHwari abhi tak raaz hai...
"aap lillah na dekha karen aaina kabhi
dil ka aa jaana baDi baat nahin hoti hai...
"aap to munh pher kar kahte hain aane ke liye
wasl ka wada zara aankhen mila kar kijiye...
"aapne tir lagaya to koi baat na thi
zaKHm maine jo dikhaya to bura man gae...
"aariz-e-gulgun pe un ke rang sa ek aa gaya
un gulon ko chheD kar maine gulistan kar diya...
"aarizon par ye Dhalakte hue aansu tauba
humne shoalon pe machalti hui shabnam dekhi...
"aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya hai raha raha na raha...
"aarzu wasl ki rakhti hai pareshan kya kya
kya bataun ki mere dil men hai arman kya kya...
"aata hai ji men saqi-e-mah-wash pe bar bar
lab chum lun tera lab-e-paimana chhoD kar...
"ab aur is ke siwa chahte ho kya mulla
ye kam hai usne tumhen muskura ke dekh liya...
"ab main samjha tere ruKHsar pe til ka matlab
daulat-e-husn pe darban biTha rakkha hai...
"abhi aae abhi jate ho jaldi kya hai dam le lo
na chhoDunga main jaisi chahe tum mujhse qasam le lo...
"abhi aate nahin us rind ko aadab-e-mai-KHana
jo apni tishnagi ko faiz-e-saqi ki kami samjhe...
"abhi kuchh hai abhi kuchh hai abhi kuchh
teri kafir-nazar kya jaane kya hai...
"abhi raat kuchh hai baqi na uTha naqab saqi
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jae...
"abru na sanwara karo kaT jaegi ungli
nadan ho talwar se khela nahin karte...
"achchhe isa ho marizon ka KHayal achchha hai
hum mare jate hain tum kahte ho haal achchha hai...
"ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka...
"adab lakh tha phir bhi unki taraf
nazar meri aksar rahi dekhti...
"agar tumhaari ana hi ka hai sawal to phir
chalo main hath baDhata hun dosti ke liye...
"ai junun hath jo wo zulf na aai hoti
aah ne arsh ki zanjir hilai hoti...
"ai kash hamari qismat men aisi bhi koi sham aa jae
ek chand falak par nikla ho ek chand sar-e-baam ...
"ajib lutf kuchh aapas ki chheD-chhaD men hai
kahan milap men wo baat jo bigaD men hai...
"allah-re chashm-e-yar ki mojiz-baniyan
har ek ko hai guman ki muKHatab hamin rahe...
"allah-re tere silsila-e-zulf ki kashish
jata hai ji udhar hi khincha kaenat ka...
"allah-ri nazakat-e-jaanan ki sher men
mazmun bandha kamar ka to dard-e-kamar hua...
"andaz apna dekhte hain aaine men wo
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho...
"angDai bhi wo lene na pae uTha ke hath
dekha jo mujhko chhoD diye muskura ke hath...
"anjaan tum bane rahe ye aur baat hai
aisa to kya hai tumko hamari KHabar na ho...
"apne darwaze pe KHud hi dastaken deta hai wo
ajnabi lahje men phir wo puchhta hai kaun hai...
"apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angDai ka...
"apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin
tumne kisi ke sath mohabbat nibha to di...
"arsh pahle ye shikayat thi KHafa hota hai wo
ab ye shikwa hai ki wo zalim KHafa hota nahin...
"asar na puchhiye saqi ki mast aankhon ka
ye dekhiye ki koi hoshyar baqi hai...
"ayaadat ko meri aa kar wo ye takid karte hain
tujhe hum mar Dalenge nahin to jald achchha ho...
"baad marne ke meri qabr par aaya wo ghafil
yaad aai mere isa ko dawa mere baad...
"baal apne us pari-ru ne sanware raat bhar
sanp loTe saikDon dil par hamare raat bhar...
"baat par wan zaban kaTti hai
wo kahen aur suna kare koi...
"baat saqi ki na Tali jaegi
tauba kar ke toD Dali jaegi...
"baat teri suni nahin maine
dhyan mera teri nazar par tha...
"baDe gustaKH hain jhuk kar tera munh chum lete hain
bahut sa tu ne zalim gesuon ko sar chaDhaya hai...